Indian Coast Guard Assistant Commandant 01/2027 Batch ke liye notification aa chuka hai! Jo log defence line mein apna future banana chahte hain unke liye yeh ek golden chance hai – isse aapko respect aur sarkari naukri dono milenge. Isme aapko naukari ke sath-sath izzat aur uniform bhi milegi. Is batch me General Duty (GD) aur Technical Branch ke liye total 170 posts hain. Form bharne ki date 8 July 2025 se shuru ho rahi hai aur aap 23 July 2025 tak apna application submit kar sakte hain. Iske baad koi form accept nahi hoga, isliye last moment tak wait na karein. Is post me hum aapko eligibility, age limit, syllabus, exam pattern, apply process, important dates aur salary sab kuch ekdum asan bhasha me bata rahe hain. End tak padhiye aur bina galti ke form bhar dijiye!
📑 Vacancy Details
Branch | Posts |
---|---|
General Duty (GD) | 140 |
Technical Branch | 30 |
Total | 170 |
🎓 Eligibility Criteria
Criteria | Details |
---|---|
Age Limit | 21–25 saal (1 July 2001 se 30 June 2005 ke beech janm hone chahiye) |
Education (GD) | 10+2 Maths & Physics ke sath + Bachelor Degree min. 60% |
Education (Technical) | B.E/B.Tech (Mechanical/Electrical/Electronics etc.) with 60% + 10+2 Maths & Physics |
✅ Relaxation: SC/ST ke liye 5 saal aur OBC ke liye 3 saal ki chhoot.
🧾 Application Fees
Category | Fees |
---|---|
UR/OBC/EWS | ₹300 |
SC/ST | Nil (Free) |
🗓️ Important Dates
Event | Date |
---|---|
Notification Out | 8 July 2025 (4 PM) |
Apply Start | 8 July 2025 |
Last Date to Apply | 23 July 2025 (11:30 PM) |
CGCAT Exam Date | 18 September 2025 |
PSB | November 2025 |
FSB | Jan–Oct 2026 |
Training Start | January 2027 |
✅ Selection Process
- Stage 1: CGCAT Written Exam (Computer Based Test)
- Stage 2 mein Preliminary Selection Board hota hai. Ismein pehle aapka Cognitive Test hota hai aur fir PPDT hota hai jisme picture dekhkar kahani banana aur group discussion karna hota hai
- Stage 3: Final Selection Board – Interview, Group Task, Psych Test
- Stage 4: Medical Exam
- Stage 5: Training (January 2027 se)
📚 CGCAT Exam Pattern
Subject | Questions | Marks |
---|---|---|
English | 25 | 100 |
Reasoning & Numerical Ability | 25 | 100 |
General Science & Math Aptitude | 25 | 100 |
General Knowledge | 25 | 100 |
Total | 100 | 400 |
✅ Dhyan rahe, ek bhi galat answer dene par 1 number katega. Negative marking hai, isliye bina confirm hue answer mat bharein.
⏰ Time: 2 ghante ka paper hoga.
💰 Salary
Indian Coast Guard AC ki basic pay ₹56,100/month se shuru hoti hai aur promotions ke saath ₹2,05,400 tak ja sakti hai. Iske alawa uniform allowance, DA, HRA, risk allowance aur family ke liye facilities bhi milti hain.
🚀 Is Naukri Ka Fayda Kya Hai?
Indian Coast Guard AC banne ka matlab sirf ek job nahi, balki aapko ek respectful life milti hai. Aapko samandar ki security aur rescue operations ka hissa banne ka mauka milta hai. Iske sath sarkari facilities, medical benefits, family ke liye accommodation, free ration, uniform, aur alag se risk allowance bhi milta hai. Aapka promotion bhi fix time par hota hai aur aap higher post tak ja sakte ho.
🏃♂️ Physical Fitness Kyon Zaroori Hai?
Form bharne se pehle yeh samajh lo ki Assistant Commandant ka kaam physically aur mentally strong logo ka hota hai. Is naukri mein aapko swimming aur running jaise physical tasks ke sath-sath samundar ki suraksha ke liye sea patrol bhi karni hoti hai. Isliye aap abhi se daily running aur basic exercise shuru karo. Exam ke baad PSB aur FSB mein bhi physical tasks check honge.
📋 Zaroori Documents Jo Lagte Hai
Form bharne se lekar final joining tak aapko kuch documents ready rakhne honge:
- 10th aur 12th ki marksheet
- Graduation/B.Tech degree certificate
- Caste Certificate (agar aap SC/ST/OBC category se ho)
- Passport size recent photos
- Signature scan
- Identity Proof – Aadhaar Card/Voter ID/Passport
- Domicile certificate (agar applicable ho)
- Medical certificate (final stage pe)
Sabhi documents scan karke PDF/JPG format mein ready rakho, taki last minute dikkat na ho.
📚 Tayari Kaise Karein?
- Daily 2-3 ghante English, Reasoning, Maths aur GK par focus karo.
- CGCAT ka previous year paper dekho, pattern samjho.
- Online mock test zaroor do, isse speed aur accuracy badhegi.
- News paper aur current affairs roz padho – GK mein help milegi
- Daily thodi running aur swimming jarur karo, ye habit aapko Coast Guard ke fitness test mein aage rakhegi.
❌ Common Mistakes Jo Log Karte Hai
🔴 Form galat details se bharna – double check karo!
🔴 Last date ka wait karna – hamesha pehle apply karo.
🔴 Written exam ke liye time par admit card download na karna.
In sab galtiyon se bacho, warna aapka form reject ho sakta hai.
🎯 Motivation For Aspirants
Dosto, Coast Guard mein AC banna ek pride aur honour ki baat hai. Samandar ki raksha karna har kisi ke bas ki baat nahi hoti. Agar aap dedication ke sath tayari karte ho toh koi bhi aapko rok nahi sakta. Bas apne sapne pe bharosa rakho aur mehnat karte raho.
Ek uniform, ek badge, ek naukari – aur aapka future secure!
❓ FAQs
Q. Age limit kya hai?
Is bharti mein apply karne ke liye aapki age kam se kam 21 saal aur zyada se zyada 25 saal honi chahiye. Matlab agar aapka janm 1 July 2001 se lekar 30 June 2005 ke beech hai, toh aap eligible ho. SC/ST candidates ko 5 saal ki chhoot milti hai aur OBC candidates ko 3 saal ki chhoot milti hai. Agar aap category certificate dikhate ho toh aapko relaxation mil jayega. Isliye form bharte waqt age aur documents bilkul sahi check karo, warna form reject ho sakta hai.
Q. Kaun apply kar sakta hai?
Is bharti mein wahi candidates apply kar sakte hain jinhone 10+2 mein Maths aur Physics subject se padhai ki ho aur Graduation ya B.Tech ki degree ho. Aapke 12th ke marks aur Graduation ke marks minimum 60% hone chahiye. Agar aap Technical Branch ke liye apply kar rahe ho toh aapka B.E. ya B.Tech Mechanical, Electrical, Electronics, ya related branch se hona zaroori hai. Iske alawa agar aap SC/ST ya OBC category ke ho toh aapko chhoot bhi milegi. Sab certificates original hone chahiye.
Q. Fees kitni hai?
Coast Guard Assistant Commandant ka form agar aap General, OBC ya EWS ho toh ₹300 fees lagegi, jo aapko online pay karni hogi. Ye fees online hi pay karni hoti hai – aap debit card, credit card ya net banking se payment kar sakte ho. Jo candidates SC/ST category mein aate hain unke liye fees free hai, matlab bina koi paisa diye form bhar sakte hain. Form bharte waqt fees sahi se pay karo aur payment slip download karke sambhal ke rakho, future mein kaam aayegi.
Q. Exam kab hoga?
Coast Guard Assistant Commandant ka CGCAT exam 18 September 2025 ko liya jayega. Is din exam centre par time se pahunchna zaroori hai. Ye ek Computer Based Test (CBT) hoga jo all India level par alag-alag exam centres par hota hai. Aapko exam city aur centre ka pata aapke admit card se chalega jo exam se kuch din pehle official website se download karna hoga. Is din aapko time par exam centre pahunchna zaroori hai. Isliye exam date ko calendar mein mark kar lo aur tayari abhi se full speed mein start karo.
Q. Salary kya hai?
Indian Coast Guard Assistant Commandant ki basic salary ₹56,100 per month hoti hai. Ye Defence Pay Level 10 ke according hoti hai. Iske alawa aapko DA (Dearness Allowance), HRA (House Rent Allowance), Transport Allowance, Uniform Allowance aur kai extra benefits milte hain. Samundar ki duty aur risky kaam ke liye Coast Guard mein alag se paisa diya jata hai, isse aapki salary aur badh jati hai. Aapko free ration, medical facility aur family ke liye bhi suvidha milti hai. Jaise-jaise promotion hota hai, waise-waise salary bhi badhkar ₹2 lakh se zyada ho sakti hai. Yeh ek secure aur izzat wali naukri hai.
🔗 Important Links
Official Website | Apply Online
🔗 Follow Us on Social Media
Platform | Link |
---|---|
Join WhatsApp Channel | |
✅ Telegram | Join Telegram Channel |
Follow on Facebook | |
Follow on Twitter | |
Follow on Instagram |
✅ Conclusion
Toh dosto, ab aapko Indian Coast Guard Assistant Commandant 01/2027 Batch ka full detail mil gaya hai – vacancy, age, fees, syllabus, selection, aur preparation sab kuch. Is baar competition zyada hai, isliye early preparation aur clear plan zaroori hai. Agar aapka sapna hai samandar ki suraksha karna, toh time waste mat karo – 8 July se form bharo aur exam clear karo!
Best wishes! 💪 Jai Hind! 🇮🇳
RRB NTPC 10+2 Level Exam 2025 – Application Status & Exam Date Out | CEN-06/2024
Bank of Baroda LBO Recruitment 2025 – 2500+ Vacancies | Full Notification & Apply Now
Aapka comment hamare liye important hai.