Railway Group D Vacancy 2025 – Syllabus, Exam Date, Salary, Apply Kaise Kare – Full Details

JOB YOJNA 0

Indian Railways me job karna desh ke sabhi yuva ka sapna hota hai. Kya aap bhi chahte ho ek aisi sarkari naukri jisme izzat ke sath sath, achhi salary mile, aur future secure rahe? To yeh khabar aapke liye hai!

Indian Railways ne Group D Level 1 ke liye 32,438 padon par bharti ke liye official notification jari kar diya hai, jo desh bhar ke liye ek bada avsar hai. Is bharti ke liye sirf 10th pass hona zaroori hai, aur desh bhar ke lakho ummeedwaron ne already apply bhi kar diya hai. Total 1 crore se zyada applications (exact: 10,822,423) aaye hain!

Is bharti ke tahat aapko Track Maintainer, Pointsman, Workshop Assistant, Loco Shed Assistant jaise pad mil sakte hain. Ye ek All India Level ki bharti hai, jisme alag-alag zones ke liye alag posts nikali gayi hain.

Form bharne ki date khatam ho chuki hai, aur ab sabhi candidates ko exam date ka intezaar hai. Ummeed ki ja rahi hai ki CBT exam July–August 2025 ke beech me hoga.

Is blog post me aapko milega RRB Group D Bharti 2025 ka har zaroori jankari – jaise post details, eligibility, selection process, syllabus, salary, zone-wise seat aur best preparation tips — sab kuch ekdam asaan bhasha me.

📢 Dosto, agar aap Railways me apna future banana chahte hain, to is article ko shuru se lekar aakhri tak zarur padhein – isme har zaruri jankari aapko milegi. Yeh aapke sapno ko pura karne ka pehla kadam ho sakta hai!


🔔 RRB Group D 2025 Notification (CEN 08/2024)

Notification Number CEN 08/2024
Total Posts 32,438
Online Apply Date 23 Jan – 01 March 2025
Candidates Applied 1,08,22,423
Exam Expected July – August 2025
Official Website www.rrbcdg.gov.in

📋 RRB Group D Vacancy 2025 – (Kon Kon Si Post Pe Kitni Vacancy Aai hai)

Post Name Vacancy Department
Track Maintainer Grade-IV 13,187 Engineering
Pointsman B 5,058 Traffic
Assistant (Workshop) 3,077 Mechanical
Assistant TL & AC 1,041 Electrical
Assistant C&W 2,587 Mechanical
Assistant TRD 1,381 Electrical
Assistant S&T 2,012 Signal & Telecom
Others (Bridge, Loco Shed, etc.) 4,095 Mixed Departments
🟢 Total Posts 32,438


📋 Railway RRB Group D Vacancy 2025 (Kis Zone Me Kitni Vacancy Hai)

Zone Name Zone Code UR SC ST OBC EWS Total Post
Mumbai WR 1892 701 351 1261 467 4672
Jaipur NWR 797 191 77 217 151 1433
Hubli SWR 207 75 37 133 50 503
Jabalpur WCR 769 215 89 383 158 1614
Bhubaneshwar ECR 405 139 67 257 96 964
Bilaspur SECR 578 190 93 346 130 1337
Delhi NR 2008 691 346 1275 465 4785
Chennai SR 1089 397 228 698 279 2694
Gorakhpur NER 598 215 134 285 122 1370
Guwahati NFR 828 309 153 552 206 2048
Kolkata ER 767 262 144 477 161 1817
Mumbai CR 1395 480 257 845 267 3244
Hajipur ECR 518 186 92 333 122 1251
Prayagraj NCR 988 229 190 413 189 2020
Kolkata SER 408 184 72 263 102 1044
Secunderabad SCR 710 235 144 415 136 1642

✔️ Upar diye gaye table mein har ek railway zone ke liye alag-alag category wise (UR, SC, ST, OBC, EWS) vacancies mention ki gayi hain. Aap jis state mein rehte hain, us zone ke liye aapko apply karna hota hai. Total seat zone aur category ke hisab se fix hoti hai.


📊 RRB Group D – Year Wise Vacancy Trend

Year Total Vacancies
2025 32,438
2019 1,03,769
2018 62,097

📌 RRB Group D ki bharti har kuch saalon me hoti hai. 2019 me sabse zyada pad nikale gaye the. 2025 me vacancy thodi kam hai, lekin yeh ab bhi ek bada mauka hai un sabhi ke liye jo 10th pass hai aur Railways me career banana chahte hain.

✔️ Har zone mein alag-alag category ke liye seat alag hoti hai. Aapko apne state ke zone ke hisaab se hi form bharna hota hai. Yeh details aapko form bharne ke waqt zone select karne mein madad karega.

👨‍🎓 RRB Group D Eligibility Criteria 2025

1️⃣ Nationality

Candidate ko bharatiya nagrik hona chahiye. Agar applicant Nepal, Bhutan ya Tibet ka hai to uske paas valid sarkari certificate hona chahiye jo uski eligibility ko prove kare.

2️⃣ Shiksha (Educational Qualification)

RRB Group D ke liye apply karne ke liye aapke paas minimum 10th (Matriculation) ka certificate hona chahiye. Ya agar aapne NCVT se ITI ya NAC ka training acche tarike se poora kiya ho.

Note: Agar aap final year me hain ya aapka result abhi pending hai, to aap eligible nahi maane jaoge.

3️⃣ RRB Group D Age Eligibility (As on 01 January 2025)

🔹 Minimum Age 🔹 Maximum Age
18 Years 36 Years

RRB Group D 2025 Application Fee

S.No Category Application Fee Refund (Agar CBT Exam Diya)
1 General / OBC / EWS Rs. 500/- Rs. 400 refund milta hai (bank charges katke)
2 SC / ST / EBC / Women / Transgender / Ex-Servicemen / Minorities / PWD Rs. 250/- Rs. 250 pura refund milta hai (bank charges katke)


RRB Group D 2025 – Apply Karne Ka Process (Step-by-Step Table)

Step No. Apply Ka Step Details
1 Official Website Visit Official site www.rrbcdg.gov.in par jaayein aur ‘New Registration’ par click karein.
2 Nayi Registration Apna naam, DOB, father/mother ka naam, Aadhaar no., 10th details, mobile no. & email ID bhar kar registration karein.
3 OTP Verification Mobile aur email par ek OTP aayega use OTP wale box me daal kar verify karein.
4 Login Karein Registration no. aur password se login karein.
5 Application Form – Part I Education, caste, gender, religion, ex-servicemen, EWS/minority status, age relaxation ki jankari bharein.
6 Application Form – Part II Job post ke liye priority (preference) deni hogi.
7 Fees Payment Online (Net banking, Card, UPI) ya Offline challan se payment karein.
8 Exam Language Paper kis language me dena hai, wo select karein.
9 Photo ID Details Valid ID (Aadhaar, PAN, Voter ID) ka number bharna hoga.
10 Bank Details Fee refund ke liye bank account no., IFSC code bharna hoga.
11 Document Upload Photo & signature scan karke upload karein. SC/ST ho to certificate bhi upload karein.
12 Declaration & Submit Terms & Conditions agree karein aur application final submit karein.

📅 Category Wise Upper Age Limit (Date of Birth ke hisaab se)

Category Upper Age Limit (Date of Birth should be after)
General / EWS 02 January 1989
OBC (Non-Creamy Layer) 02 January 1986
SC / ST 02 January 1984

📌 Age ka calculation 01 January 2025 ke basis par hoga. Agar aap is date se pehle paida hue hain (as per category limits), to aap eligible nahi maane jaayenge. Relaxation sirf government ke norms ke anusar diya jaata hai.


📝 RRB Group D 2025 Exam Pattern – Asaan Bhasha Me

RRB Group D ka exam ek Computer Based Test (CBT) hoga jisme aapke general knowledge, reasoning, maths aur science ke questions honge. Ye exam qualifying nature ka hoga jisme aapko minimum marks lana zaroori hai. Iske baad Physical Test, Document Verification aur Medical Checkup hoga.

📌 CBT (Computer Based Test) – Subject Wise Yaha Poori Jankari Di Gai Hai

Vishay (Subject) Prashn Sankhya (Questions) Ank (Marks)
General Science (Samanya Vigyan) 25 25
Mathematics (Ganit) 25 25
General Intelligence & Reasoning (Tark Shakti) 30 30
General Awareness & Current Affairs (Samanya Jankari) 20 20
Total 100 100

🕘 Exam Ka Samay: Aapko pura paper solve karne ke liye 90 minute milenge.

⚠️ Negative Marking: Har galat jawab par 1/3 (ek-tihai) number katega. Isliye soch samajh kar jawab dein.


📋 Minimum Qualifying Marks (Pass Hone Ke Liye Kitne Number Chahiye?)

Category Minimum Percentage
General (UR) 40%
EWS 40%
OBC (Non-Creamy Layer) 30%
SC / ST 30%

Note: Kuch categories ke liye relaxation bhi hota hai, lekin minimum itne number to lana hi padta hai CBT qualify karne ke liye.


🚦 Exam Ka Process (Step by Step)

  1. 1. CBT (Computer Based Test) – Sabse pehle online exam hoga.
  2. 2. PET (Physical Efficiency Test) – CBT pass karne ke baad physical test dena hoga.
  3. 3. Document Verification – Physical pass karne ke baad sabhi documents verify honge.
  4. 4. Medical Test – Aapki medical fitness check ki jaayegi.

🗣️ Exam Kis Language Me Hoga?

RRB Group D CBT exam aapki language me bhi ho sakta hai! Aap in 15 bhashao me se kisi bhi ek bhasha ko choose kar sakte hain:

  • English
  • Hindi
  • Assamese
  • Bengali
  • Gujarati
  • Kannada
  • Konkani
  • Malayalam
  • Manipuri
  • Marathi
  • Odia
  • Punjabi
  • Tamil
  • Telugu
  • Urdu

📌 Important: Jab aap form bharenge tab language choose karni hogi. Ek baar select hone ke baad badli nahi ja sakti.

✔️ Railway administration apne hisaab se exam ek stage ya do stages me le sakta hai. Final decision Railway Board ke paas hota hai. Isliye aapko har stage ke liye tayyar rehna chahiye.

🧾 Summary (Students ke liye)

  • Exam me 100 questions honge, aur samay milega 90 minute.
  • Har galat jawab par 1/3 number katega, isliye bina soche guess na karein.
  • Har subject se nishchit sankhya me prashn aayenge – fix hai.
  • Exam Hindi, English aur 13 regional languages me hoga.
  • Exam ke baad 3 kadam aur – PET, Document Check, aur Medical test.

📚 RRB Group D 2025 Syllabus

📚 Subject-Wise Syllabus – RRB Group D 2025

🔬 General Science:
10th level ka science – NCERT par based. Physics, Chemistry, Biology ke basic topics:
• Motion, Force, Work & Energy
• Light, Sound
• Electricity, Magnetism
• Atoms, Molecules, Acids, Bases & Salts
• Nutrition, Reproduction, Respiration
• Human Body, Diseases, Plants & Animals

📐 Mathematics:
10th class ke topics par based questions aayenge:
• Number System, LCM & HCF
• Profit & Loss, Simple & Compound Interest
• Time, Speed & Distance
• Mensuration (Area, Volume)
• Average, Ratio & Proportion
• Algebra, Geometry & Trigonometry (Basics)
• Percentage, Mixture & Alligation

🧠 Reasoning (General Intelligence):
• Coding-Decoding, Analogy
• Series (Number & Alphabet)
• Blood Relations, Direction Sense
• Syllogism, Venn Diagram
• Statement & Conclusion
• Order & Ranking, Puzzle

📰 General Awareness & Current Affairs:
• Current Affairs (Aakhri ke 6 mahine pahle ki – Desh aur Videsh ki khabrein)
• Indian History, Geography, Polity
• Important Government Schemes
• Static GK (Capitals, Currency, Books, Awards)
• Science & Tech, Sports, Defence News


✅ RRB Group D 2025 Selection Process (Chayan Prakriya)

RRB Group D ki naukri paane ke liye aapko kuch important stages se guzarna hoga. Har stage mein pass hona zaroori hai:

Stage Details
📄 Computer Based Test (CBT) 📄 Computer Based Test (CBT): Ye ek online exam hai jisme 100 objective prashn hote hain. Isme Maths, Reasoning, GK aur Science se sawal aate hain. Time milta hai 90 minutes.
🏃‍♂️ Physical Efficiency Test (PET) Jo candidates written exam clear karenge unka physical test hoga. Isme aapki daud aur weight uthana test kiya jaata hai. Niche wali table mein saari jankari di gai hai.
📑 Document Verification Jo log PET clear kar lenge unke documents check kiye jaayenge – jaise ki 10th certificate, ID proof, caste certificate (agar applicable ho), etc.
🩺 Medical Test Final stage mein aapka medical check-up hoga. Aankhon ki roshni, BP, sugar, aur basic health condition check ki jaayegi. Railway me kaam karne ke liye aapko medically fit hona zaroori hai.


📌 Physical Efficiency Test (PET) – Full Details

PET test sabhi ke liye alag-alag hota hai – male aur female candidates ke liye requirement different hoti hai. Is test ka maksad hota hai ye dekhna ki aap sharirik roop se fit hain ya nahi.

Gender Running Task Weight Uthana Time Limit
👨 Male 1000 meter (1 km) ki daud bina rukhe 35 kg wajan uthakar 100 meter chalna Daud – 4 minute 15 second
Wajan uthana – 2 minute me 2 baar
👩 Female 1000 meter (1 km) ki daud bina rukhe 20 kg wajan uthakar 100 meter chalna Daud – 5 minute 40 second
Wajan uthana – 2 minute me 2 baar

Important Note: PET test qualifying nature ka hota hai – iska matlab ye hai ki isme marks nahi milte, sirf pass/fail decide hota hai. Aapko bina kisi sahare (support) ke ye tasks complete karne honge. Agar aap kisi stage me fail ho jaate hain to aap aage ke process me nahi ja payenge.

💡 Extra Tips (Helpful Suggestions)

  • PET Test: Roz subah ya shaam daud lagana start karein. Shuruat me 500 meter, fir dheere-dheere 1 km tak badhayein. Saath hi thoda weight (10-15 kg) uthakar walk karne ki practice karein, taaki body tayyar ho PET ke liye.
  • Medical Test: Apna BP (blood pressure) normal rakhein, junk food se bachein. Aankhon ki roshni check karwa lein – agar chashma lagta hai to regular use karein. Healthy khana khayein, daily fruits aur pani jyada piyein.
  • Sleep: Kam se kam 7-8 ghante ki neend lein, ye aapke stamina aur mental alertness dono ke liye zaroori hai.
  • Fitness: Har din kuch physical activity (jaise skipping, brisk walk, push-ups) jarur karein – ye aapko active banaye rakhegi aur test ke liye fit bhi.

📘 RRB Group D 2025 Mock Test Sample

Total Questions: 100  |  Time: 90 Minutes  |  Negative Marking: 1/3

🧠 Sample Questions (Table Format)

S.No Question Options (A, B, C, D)
1 July 2025 tak Bharat ke Rashtrapati kaun hain? A. Droupadi Murmu
B. Ram Nath Kovind
C. Narendra Modi
D. Amit Shah
2 Pani ka chemical symbol kya hai? A. H2O
B. CO2
C. NaCl
D. O2
3 Inme se kaunsa odd number hai? A. 24
B. 36
C. 17
D. 44
4 144 ka square root kya hai? A. 10
B. 11
C. 12
D. 13
5 Bharat ka Rashtragan kisne likha tha? A. Rabindranath Tagore
B. Bankim Chandra Chatterjee
C. Mahatma Gandhi
D. Jawaharlal Nehru

🗓️ 30-Day Study Plan

DaySubjectTopic
1MathsNumber System, LCM-HCF
2ScienceMotion, Force & Laws
3ReasoningAnalogy, Series
4GKCurrent Affairs June 2025
5MathsPercentages, Profit & Loss
6ScienceSound, Light
7ReasoningCoding-Decoding
8GKIndian Polity
9MathsTime & Work
10ScienceGravitation
11ReasoningDirection Test
12GKCurrent Affairs July 2025
13MathsSimple & Compound Interest
14ScienceBiology Basics
15ReasoningBlood Relation
16GKHistory of India
17MathsAlgebra
18ScienceElectricity
19ReasoningSyllogism
20GKGeography of India
21MathsMensuration
22ScienceNutrition
23ReasoningVenn Diagrams
24GKEconomy of India
25MathsData Interpretation
26ScienceMagnetic Effects
27ReasoningCalendar
28GKSports & Awards
29Mock TestFull Length Practice Test
30RevisionAll Subjects - Quick Revision

🧠 RRB Group D 2025: Best Taiyari Tips

• NCERT Books (Class 9–10 Science & Maths) se shuruaat karein.
• Purane papers solve karein, aisa karne se aapko pattern samajhne mein bahut jayda madad milegi.
• Daily Current Affairs padhein – apps, newspapers ya YouTube se.
• Mock Tests rozana dena shuru karein – speed & accuracy dono improve hoti hai.
• Roz padhai ka plan banaayein aur sab subject ko barabar samay dein.
• Roj 2–3 ghante self study karey aur focus padhai pe hi rakhe – smart study karein, hard nahi.

📱 Recommended Free Apps: Adda247, Testbook, Gradeup, Oliveboard, AffairsCloud
⚠️ Extra Tip: Apna admit card, ID proof, aur documents ready rakhein – exam ke last time tension na ho.

🧾 Summary (Students ke liye):
• Exam mein 100 sawal honge, samay 90 minute ka milega.
• Negative marking hai, to guess na karein bina soche.
• Har subject se fixed questions aayenge.
• Language ka option hai – Hindi, English, aur regional.
• CBT ke baad PET, Document Check aur Medical hoga.


📰 Monthly Current Affairs PDFs


Apply Online: www.rrbcdg.gov.in


🧾 Summary

  • 100 questions, 90 minutes ka paper hoga.
  • 1/3 negative marking hai – so guess mat karo bina soche.
  • Har subject se fixed number of questions aayenge.
  • Exam Hindi, English, aur regional language me hoga.
  • CBT ke baad PET, Document Verification & Medical hota hai.

💰 RRB Group D 2025 Salary – Asaan Bhasha Mein

Pay Scale: 7th Pay Commission ke Level-1 ke hisaab se diya jaata hai.

Basic Salary: ₹18,000 per month

Total In-Hand Salary: ₹22,000 se ₹25,000 per month (lagbhag)

Salary Structure (Ek Saadhan Mein)

Salary Component Rashi (₹)
Basic Pay 18,000
Dearness Allowance (DA) ~3,060 (17% approx.)
House Rent Allowance (HRA) 1,440 – 4,320 (City ke hisaab se)
Transport Allowance (TA) 1,000 – 1,600
Total In-Hand Salary 22,500 – 25,380


Salary Ke Saath Extra Benefits (Allowances)

Allowance Details
Dearness Allowance (DA) Mehngai ke hisaab se har 6 mahine me badhta hai
House Rent Allowance (HRA) Kiraaye ke ghar me rehne par milta hai
Transport Allowance (TA) Duty place tak aane-jaane ke liye
Overtime Allowance Extra duty karne par milta hai
Night Duty Allowance Raat ki duty par alag se paisa milta hai
Medical Benefits Aap aur parivaar ke liye sarkari hospital me ilaj free ya sasta
Railway Pass Railway Pass – Railway staff ko free ya sasti yatra ki suvidha milti hai.

Note: Salary ka exact amount city aur duty ke hisaab se thoda upar neeche ho sakta hai.


📊 RRB Group D Previous Year Cutoff (2022)

Cut-Off wo minimum marks hote hain jo exam qualify karne ke liye zaroori hote hain. RRB Group D 2022 ke cut-off har zone aur category ke liye alag the. Neeche diye gaye table mein aap zone-wise cut-off dekh sakte hain:

Zone General (UR) OBC SC ST
Ajmer 97.27 94.99 93.03 91.58
Kolkata 96.62 94.33 91.52 90.67
Mumbai 96.25 94.00 90.78 89.15
Chennai 94.00 90.84 86.92 83.31

Note: Ye cut-off marks 2022 ke hain aur yeh zone-wise aur category-wise alag hote hain. Aap jis zone se apply karte hain, usi zone ka cut-off dekhna zaroori hai.

📌 RRB Group D 2025 Cut-Off

RRB Group D 2025 ka cut-off official result ke saath release kiya jaayega. CBT exam qualify karne ke liye candidate ko cut-off se zyada number laane honge. Previous year ke cut-off dekhne se aapko andaza lagta hai ki is baar competition kis level ka ho sakta hai.


📊 RRB Group D Cut-Off 2018-19

2018-19 me bhi CBT exam hua tha jisme har zone ke liye alag-alag category ka cut-off tha. Neeche aap zone-wise General (UR) category ka cut-off dekh sakte hain.

Zone Category Cutoff (%)
AjmerCommunity73.73
Ex-Servicemen40.20
CCAA in Railways40.04
AllahabadCommunity74.57
Ex-Servicemen40.00
CCAA in Railways41.16
AhmedabadCommunity71.86
Ex-Servicemen40.00
CCAA in Railways40.04
BengaluruCommunity62.01
Ex-Servicemen40.23
CCAA in Railways42.59
BhopalCommunity75.03
Ex-Servicemen40.06
CCAA in Railways40.04
BilaspurCommunity70.22
Ex-Servicemen40.04
CCAA in Railways40.04
BhubaneshwarCommunity73.86
Ex-Servicemen40.04
CCAA in Railways40.79
ChandigarhCommunity75.07
Ex-Servicemen40.00
CCAA in Railways40.42
ChennaiCommunity71.53
Ex-Servicemen40.14
CCAA in Railways41.54
GorakhpurCommunity73.90
Ex-Servicemen40.16
CCAA in Railways40.79
GuwahatiCommunity77.09
Ex-Servicemen40.86
CCAA in Railways40.42
KolkataCommunity80.57
Ex-Servicemen40.01
CCAA in Railways40.04
MumbaiCommunity67.96
Ex-Servicemen40.16
CCAA in Railways40.04
PatnaCommunity77.00
Ex-Servicemen40.19
CCAA in Railways40.04
RanchiCommunity76.30
Ex-Servicemen40.09
CCAA in Railways40.04
SecunderabadCommunity69.79
Ex-Servicemen40.00
CCAA in Railways40.42

Samjho Seedhe Bhasha Mein: Cut-off marks har region ke liye alag hote hain, isliye jab bhi aap form bharte ho, to aapko apne zone ke hisaab se pichhle saal ke cut-off dekhna chahiye. Isse aapko idea milta hai ki kitna score target karna hai.

RRB Group D 2025 Exam Analysis: Subject Wise Topic & Question Count

RRB Group D ka exam har saal hazaron students ke liye ek bada moka hota hai sarkari naukri paane ka. Agar aap RRB Group D 2025 ke liye tayyari kar rahe ho, to sabse pehle aapko pichhle saal ke paper ka pattern aur analysis dekhna chahiye. Isse aapko yeh andaza lag jayega ki kis subject se kitne prashna aate hain aur kaunse topic pe zyada focus karna hai. Neeche subject-wise analysis diya gaya hai jo aapki preparation me bahut madad karega.

Mathematics Questions and Topics

Maths ka section total 25 questions ka hota hai. Yeh questions basic calculation, formula based aur logic pe adharit hote hain. Aksar students ko lagta hai ki maths tough hota hai, lekin agar aap concept clear kar lo to yeh section high scoring ban sakta hai.

TopicNumber of Questions
S.I, C.I (Simple & Compound Interest)1
Pipe & Cistern1
Simplification1
Time and Work2
Number System6
Time, Speed and Distance4
Average1
Trigonometry2
Percentage1
Mensuration (Area, Volume)2
Ratio4
Total25

Reasoning Questions and Topics

Reasoning section me aapke logic aur sochne ki shakti ko check kiya jata hai. Yeh 30 questions ka hota hai. Agar aap thoda practice karte ho to reasoning me full marks lana mushkil nahi hota.

TopicNumber of Questions
Syllogism2
Venn Diagram2
Mathematical Calculation1
Mirror Image2
Odd one out3
Analogy2
Series3
Direction2
Statement & Conclusion5
Counting Figure2
Puzzle2
Complete Figure1
Blood Relation3
Total30

General Science Questions and Topics

Science section mein 25 sawal hote hain — Physics, Chemistry aur Biology se. Yeh mostly 8th to 10th class ke NCERT level ke hote hain. Jo log school me science padhe hain unke liye yeh section aasaan hota hai.

TopicNumber of Questions
Physics8
Chemistry10
Biology7
Total25

General Awareness & Current Affairs Questions and Topics

Yeh section students ke liye tricky hota hai kyunki yahaan knowledge aur updates dono zaroori hote hain. History, Politics, Geography jaise static topics ke saath current affairs pe zyada focus hota hai. News padna aur monthly current affairs pdf follow karna is section ke liye faidemand hota hai.

TopicNumber of Questions
History3
Polity1
Geography2
Economics1
Current Affairs13
Total20

Ant mein: Agar aap yeh analysis achhe se samajh kar taiyari karte ho to aapka selection kaafi had tak confirm ho sakta hai. Har section ka apna importance hai, isliye balance banake padhna zaroori hai

.

RRB Group D 2025 – Frequently Asked Questions (FAQs)

Question Answer
RRB Group D 2025 Result kab aayega? RRB Group D 2025 ka result exam ke kuch din baad aayega. Abhi date fix nahi hai. Jaise hi aayega, aap apni RRB website par registration ID aur DOB se check kar sakte ho.
RRB Group D 2025 Cut Off kya hoga? Cut off alag-alag zone aur category ke liye alag hota hai. Ye exam ke difficulty level, number of candidates aur vacancies par depend karega.
RRB Group D 2025 answer key kab aayegi?RRB Group D 2025 ki provisional answer key exam ke 7–10 din baad aayegi. Aap is par objection bhi file kar sakte hain agar kisi question ka jawab galat lage.
RRB Group D 2025 Exam Date kya hai? RRB Group D 2025 exam November–December 2025 ke beech me kabhi bhi ho sakta hai. Exact date RRB notification aur admit card me mention hogi.
RRB Group D 2025 Notification kab aur kis date jari hua tha? RRB Group D 2025 ka notification July 2025 ke pehle week mein jari hua tha. Isme 32,438 padon par bharti ki jankari di gayi thi.
RRB Group D 2025 mein kul kitni poston par naukri milne wali hai?Total 32,438 vacancies announce ki gayi hain jo alag-alag Railway zones me bhari jayengi. Har zone mein kitne pad hain, iska poora vivaran official notification mein diya gaya hai.
RRB Group D 2025 ke liye eligibility kya hai? Aapko 10th pass hona zaroori hai. ITI/NCVT certificate holder bhi apply kar sakte hain. Age limit aur relaxation ka detail notification me diya gaya hai.
RRB Group D 2025 ka selection process kya hai? Selection mein 4 stages hote hain – CBT, PET, Document Verification aur Medical Test. Har stage qualify karna zaroori hota hai.
RRB Group D 2025 Admit Card kab aayega? Admit card exam se 4 din pehle aayega. Aap RRB ki zone-wise website se apna admit card download kar sakte hain apne registration details ke saath.
RRB Group D 2025 Syllabus kya hai? Syllabus me 4 subjects hote hain – Maths, Reasoning, General Science, aur General Awareness. CBT exam me total 100 questions aate hain, jo 90 minutes me solve karne hote hain.

🟩 Conclusion

RRB Group D 2025 exam ka analysis dekhkar hume ye samajh aata hai ki har subject apne aap me important hai. Maths, Reasoning, Science, aur Current Affairs sabhi me balanced questions pooche gaye, jisme basic se lekar moderate level tak ka difficulty tha.

Jo candidates is exam ki tayari kar rahe hain, unke liye ye analysis ek roadmap ki tarah kaam karega – ki kis topic par zyada focus karna hai aur preparation kaise plan karni hai.

Agar aap regular practice karte ho, previous year papers solve karte ho aur current affairs update rakhte ho to aapka selection pakka ho sakta hai. Mehnat karo aur lagataar bane raho — safalta pakki hai.


UP Scholarship 2025 Kab Aayega? Online Apply, Status Check, Last Date – Full Guide

Railway BLW Apprentice 2025 – Step by Step Apply Kaise Kare, Eligibility, Seats, Syllabus



Post a Comment

0 Comments